Hostgator Hosting Par WordPress Ko Kaise Install Kare
Friends maine apni post Blog ko wordpress par kaise transfer kare me
bataya hai ki blogger se wordpress par blog ko migrate karne ke liye
pehle hame hosting par wordpress ko install karna padhega, uske
baad ham blog ko wordpress par move kar sakte hain.
Isliye aaj is post me main apko bataunga ki hostgator hosting par
wordpress ko kaise install karte hain.
Pehle aapko Hostgator site se hosting purchase karna padhegi. 10minute
me hostgator hosting kaise purchase karte hain janne ke liye ye post
padhe.
Hostgator Hosting
Par WordPress Kaise Install Kare
Hosting purchase karne ke baad hame domain ko hosting par point karna
hai. Maan lete hain ki aapne domain ko hosting par point kar liya hai.
Agar aap domain ko point karna nahi jaante hain to next post par me is
par likh raha hun.
Abhi ham hosting par wordpress ko install karne ki step follow karte hain.
Step 1.
hostgator.in par jaakar login kare
Step 2.
Login hone ke baad ‘manage order’ par jaakar ‘List/Search orders’ par
click kare.
Manage orders > List/Search orders
Next page par apne domain name par click kare.
Step 3.
Ab aapke saamne Cpanel open hoga.
Yahan par aapko scroll down karte
huey ‘softaculous app’ par jaakar click karna hai.
Click karne ke baad ‘wordpress’ select kare.
Step 4.
Ab aapke saamne ‘wordpress installation forum’ open hoga jahan par
hame kuchh setting karna hai jaisi main apko bata raha hun.
‘Install now’ par click kare.
Choose Protocol
yahan par ye fill karna hai ki ham apne blog ko www ke saath open
karna chahte hain ya fir bina www ke open karna chahte hain. Isliye
yahan par aap bina www ko select kare kyonki issey apka blog url me
bina www lagakar bhi open ho jayega.
- Choose Domain
Jis domain par aap wordpress install karna chahte hain woh domain select kare.
- In directory
Yahan par apko ‘wp’ dikgayi dega usko remove kar dey.
- Site Name
Yahan par blog ka name choose karna hai.
(isey ham baad me change bhi kar sakte hain.)
- Blog description
Yahan par apne blog ke baare me short description add kare.
- Admin username
Yahan par blog ke liye username set kare.
- Admin password
Yahan par password set kare.
- Admin Email
Yahan par Hame jis email se blog manage karna hai woh email enter kare.
Ab hame advance option ki setting karna hai iske liye me apko neeche
screenshot de raha hun uske anusar setting kare or email wale option
me apna email fill kare.
Setting karne ke baad install par click kare.
Install par click karne ke baad wordpress blog install hone lagega
installation process complete hone ke baad hostgator hosting par
wordpress install ho jayega.
Check karne ke liye browser me yourdomain.com/wp-admin type karke
enter kare. Fir aapne install karne me jo username or password fill
kiya thaa usko enter kare. Apka wordpress blog ka dashboard open ho
jayega.
- Hostgator Hosting Kaise Purchase Karte Hain
- Blogger Blog Ko WordPress Par Kaise Move Karte Hai
- New Blogger Ke Liye Free Web Hosting site
Ab aap jaan gaye hain ki hostagator hosting par wordpress blog ko
kaise install karte hain. Ye blogger blog ko wordpress par move karne
ke liye essential hai.
Is post se related koi bhi query ho toh mujhe comment kare, ya fir aap
qureshiinfotech ko facebook par bhi like kar sakte hain.
मैने अपना ब्लाॅग पर hostgator पर install किया लेकिन उसमे अभी तक उसमे post नही दिख रही है
rohit bro kya aapne blog blogger se move kya hai
Bhai Plz Help Me Muje Aapka Number Chayiye
irshad bhai aap mujhe facebook.com/qureshiinfotech par contact kar sakte ho
Bhai Mai Apne Blog Ko wordpress me change karna chta hu isme mimimum kharcha kitna aayega per month qki muje paisa nahi kamana only hadish share karna hai bas mera maqsad yahi hai
AAur Bhai Mera blog cheq karna usme koi kami hai kya abhi
Irshad bhai mujhe apka blog bahut pasand aaya or me aapko suggest karunga ki aap blog ko transfer nahi kare or apni post ki length ko badhaye kam se kam 400 word ki post jarur likhe or blog ko alexa me bhi submit kare
sukriya bhai alexa me submit karne ke liye kitna karcha aayega bhai aap whatsapp pe add kar lo 8574430710
Irshad bhai alexa free service hai is par site submit karne me koi kharch nahi hota hai
bhai mai blog pe image ka size kitna diya karu mai photoshop se image ko edit karta hu
400by600 pixel size best rahega
Sir muJe blogger blog ko WordPress par migrat krna hai par me blogger par jo domain use kar rha Hu. kya isi domain ke saath hosting par wordpress install kar skta Hu ya mujhe is doamin ko blogger se remove krna pdega
Aap yehi domain use karke move kar sakte ho koi problem nahi hai migration me or koi help chahiye toh jarur bataye
Sir. Jaisa Aapne is post ki 3rd step me btaya hai cpanal open hone ke bare me. thik usi trh jab me hostgator hosting par WordPress install krta Hu to Iske aage process nhi hoti. MANAGE WEB HOSTING par click krne ke baad is trh ka message aata hai ((This information you have entered in this page will be send over an unsecure connection and could be read by third party)) Iske baad ‘continue ‘ par click krne ke baad blank page open rhta hai aage koi process nhi hoti?
Domain – godaddy
Hosting – hostgator se purchase ki hai
aap browser ki cache history, or search history ko clear kare fir hostgator me login kare