Blog Ko Google Search Engine Me Kaise Laaye (Instant Tips)
How Can Submit Blog
In Google Yahoo Bing
Search Engine
Blog banane ke baad apke man me yehi vichar aa raha hoga ki blog ko
Google search engine me kaise laaye ?
Apke man me hi nahi har new blogger ke man me yehi sawal hota hai ki
blog ko search engine ke first page me kaise laaye jisse hamare blog
par jyaada visitor aa sake.
Blog ko visitor tak pahunchane ke kai medium hain lekin sabse best
medium search engine hote hain. Kyonki visitor search engine par
search karke hi hamare blog par aate hain. Isliye ye bahut jaruri hai
ki hamara blog search engine me najar aaye.
Agar ham apne blog ya website se paise kamana chahte hain yani ki pro
blogging karna chahte hain toh ye bahut jaruri hai ki hamari site par
jyaada se jyaada traffic aaye. Unlimited traffic ke liye search engine
me hamara blog show hona bahut jaruri hai. Isliye aaj me aapko simple
or instant tips ke baare me bataunga jisse aap apne blog ko bahut
jaldi google or yahoo/Bing search me index kar sakte ho.
Blog ko search engine me laane ke liye hamare blog ya website ka
search engine optimized (SEO) hona bahut jaruri hai. Blog ko SEO hone
ke baad hi search engine blog ko crawl karte hain jisse hamari post
Google search me show hone lagti hai.
Blog ko seo karne ke 2 tarike hote hain On Page Optimization or Off
Page Optimization. Agar aap inke baare me or detail me janna chahte
hain toh ye post padhe.
- 6 Best On Page Seo Tips And Techniques
- New Blogger Ke Liye Best Off Page Tips
- Off Page Techniques Se Search Engine Ko Kaise Impress Kare
Is post me main apko Google or Yahoo dono search engine me apke blog
ko submit karne ke baare me bataunga. Kyonki agar ham kewal Google me
submit karenge toh Google search engine me show hoga or hame traffic
bhi only google se hi milega.
Mainly 2 search engine hain jinpar hame blog ko submit karna chahiye :–
(1)Google (2)Yahoo/Bing
Blog Ko Yahoo/Bing Google
Search Engine
Me Kaise Submit Kare
Blog ko google search engine me submit karne ke kai tarike hote hain. Lekin
me apko bahut simple method bata raha hun jisse aap aasani se blog ko
search engine me submit kar sakte ho or unlimited traffic prapt kar
sakte ho.
- Google Search Me Post Index Hone Ka Notification Kaise Prapt Kare
- Google Keywords Use Karke Search Visits Kaise Badhaye
Blog Ko Google
Search Engine Me Kaise
Submit Kare
Blog ko google search me laane ke liye is link par click kare.
Click here for submit blog in google search
Is par click karne ke baad new page open hoga jisme apko apne blog ki
url feed karni hai jaise ki aap neeche screenshot me dekh rahe hain.
1st line me apne blog ka address type kare.
2nd line me aapko captcha par click karna hai.
3rd line me apko submit request par click karna hai.
Ab aapka blog Google search engine me submit ho gaya hai.
Blog Ko Yahoo/Bing
Search Me Kaise
Submit Kare
Yahoo or Bing ek hi search engine hai or ye gloabally kafi popular
hai. Blog ko Bing par submit karne ke liye is link par click kare.
Click here for submit blog in Yahoo/Bing search engine
New page open hone ke baad apni website url, captca type karke submit
par click kare. Iske baad aapka blog Bing/Yahoo search engine me bhi
submit ho jayega.
- Search Engine Me High Ranking Ke Liye WordPress SEO Plugin
- SEO post Likhne Ke Liye Keywords Kaise Search Kare
Final words
Friends dekha aapne apne blog ko search me laana kitna aasan hai bas
hame sahi knowledge hona chahiye. Isliye me apne blog ke jariye apki
help karta hun jisse aap bhi apna blog banakar maximum traffic tak
pahunch sake.
Agar aapko ye information pasand aaye toh aap mujhe facebook par like
kar sakte hain ya fir comment box me apne vichar share kar sakte hain.
nice post help me this post thank you
sir
aapne jisa is post me bataya hai maine waise maine follw kiya hai.
magar mera blog search me aata hi nahi hai.
aap mujhe batayege mai kya kru apni ranking badhane ke liye
aap mera blog ek baar check ke bataye kya karne ki jarurat hai
aapka blog search me aa raha hai bas aap unique or fresh post likhte rahe ranking apne aap badhti jayegi
Hello
Great blog and blog posts also
You are hitting all the great points.
Yaar bro mere ye aarha hai submit krne k baad “Your request has been received and will be processed shortly.”
iska kya matlab hai
means aapka blog submit ki request mil gayi hai or jaldi hi aapka blog search engine me submit ho jayega
thanks…
Bro meri ek problem hai. Jb me mere blog ko Achhiguide.com se search karta hu to blog khul jata hai. Lekin jb keval Achhiguide se search karta hu to blog ka name nhi aata hai search me.
Mene google me bhi submit kar diya
Please help me
Reply
Bro dont worry new blog me aisa hi hota hai jab aapko backlinks milne lagenge traffic badhne lagega tab tumhari search ranking apne aap badh jayegi. Waise kya tumne blogger setting me redirection kiya hai ?
Ha kiya tha
Fir koi problem nahi hai
kya aap meri website dekh ke bata shakte hai ki meri website me kya problem hai kyuki meri website me problem dikha raha hai
Ravi bro bahut si galtiyan solution kr liye aap mujhe facebook page par join kare
qureshi bro apne bahut hi accha post kiya hai apki post very helpful hai thanks you for sharing it with us