Hindi Blog Ke Liye Backlinks Kaise Banaye
How Can Backlinks For Hindi Blog
Jaisa ki ham dekh hi rahe hain ki 1 august 2018 ke baad Google core algorithm update ne maximum blog par apna effect daala hai jiski wajah se blog ka traffic or ranking dono down huey hain. Specially hindi blog par jyaada effect hua hai. Iski wajah hai ki hindi blog ke liye backlinks banane ke liye jyaada opportunities nahi hoti hai. Also Read Blog Ranking Badhane Ke Liye 5 Killer Tips
Ya fir ham hindi blog ke liye backlinks banane ki taraf dhyaan nahi dete hain. Jabki agar ham apne blog ko success banana chahte hain toh hame backlinks ki taraf jyaada dhyaan dena chahiye. Kyonki issey blog ranking bahut jaldi badhti hai.
- Google Search Me High Ranking Ke Liye Best Plugin
- Google Page Rank Kaise Increase Kare
- Blog Ko Google Search High Ranking Me Kaise Laaye
But iska ye matlab bhi nahi hai ki ham bekar low quality or spam backlinks banate jaaye kyonki isse hamare blog rank par negative asar hota hai. Isliye aaj ham is baat par baat karenge ki hindi blog ke liye backlinks kaise banate hain.
Hindi Blog Ke Liye Backlinks Kaise Banaye
Blog ke liye backlinks banana koi mushkil kaam nahi hai sirf hame backlinks strategy pata hona chahiye ki woh konsi genuine ways hain jinse ham high quality backlinks bana sakte hain. Hame is baat ka bhi dhyaan rakhna hoga ki ham ek din me link building nahi kar sakte hain, iske liye hame regular basis par dhyaan dekar neeche diye gaye points ko follow karna padhega. Also Read Blog Traffic Increase Karne Ke Liye Qureshiinfotech Ki Best Post
Quality Backlinks Kaise Banaye
1. Image Sharing
Hindi blog ke liye backlinks banane ke liye Mujhe ye method bahut pasand hai. Kyonki ye aasan bhi hai or isse hame result bhi achha milta hai. Pinterest or Instagram bahut hi popular image sharing site hai. Apni post image ko in site par share karke ham bahut hi jaldi hindi blog ke liye backlinks bana sakte hain.
Sabse pehle aapko in dono sites par apne blog se related account banana hai or fir jab bhi aap post publish kari toh jo bhi featured image aapne post me use ki hai, woh image sharing sites par share kar dena hai. Image share karne se blog par traffic bhi ayega or backlinks ka bhi fayda milega.
2. Social Sharing
Jaise ham image share karke backlinks bana sakte hain waise hi apni post link ko share karke bhi bahut aasani se backlink banaye jaa sakte hain. Aajkal social sharing se har news ya post ko bahut aasani se viral kiya jaa sakta hai.
Isliye hame bhi iska fayda uthakar apni post ko Facebook, Twiitter, Google Plus ke alawa or bhi bahut si social sites hain jispar ham apni post ko share karke hindi blog ke liye backlinks backlinks bana sakte hain.
- Social Networking Site Par Blog Kaise Promote Kare
- Old Post Se Blog Traffic Kaise Double Kare
- Blogging Me Aane Wale Challenges Ko Kaise Face Kare
3. Commenting
Hindi blogger is par bahut hi kam focus karte hain. Jabki aap english blogger ko dekhoge toh unka commenting par attention hota hai. Jaise hi niche related koi post padhi toh woh comments karte hain ya fir query karte hain. Jiska fayda ye hota hai ki blog ki rank high hoti hai, kyonki issey bahut backlinks milte hain.
Hindi blogger ko bhi other blog par comments jarur karna chahiye. Agar aapko koi post pasand aaye ya fir koi sawal ho toh comments jarur kare, jisse aapke other blogger se relation bhi banenge or aapko backlinks bhi milenge. But ye dhyaan rakhe ki niche related blog par hi comment kare. Also Read Comments Karne Ke Liye Dofollow Site List
4. Guest Posting
Agar aapko Hindi blog ke liye backlinks banana hai toh me aapko advice karunga ki other blog par jo aapke topic se related hain, aise blog par guest post kare. Jab aap ki post other blog par publish hoti hai toh ye guest post hoti hai.
Bahut se hindi blog hain jo guest post accept karte hain jaise shoutmehindi ya fir supportmeindia. Aap inko guest post ki request kar sakte hain ya fir aap mujhe bhi apni unique post bhej sakte hain, jo pehle se publish naa ho. Isse fayda ye hoga ki jab aapki post aapke blog link ke saath publish hogi or agar woh readers ko pasand aati hai toh aapke hindi blog ke liye high quality backlinks ban jaata hai.
- WordPress Jaisa Comment Box Blogger Me Kaise Lagaye
- Yoast Seo Plugin Blogger Me Kaise Use Kare
- Blog Or Website Me Kya Difference Hai
- Twitter Followers Badhane Ke Liye Best Tarike
Me aapse guaranteed kehta hun ki agar aap ye 4 points ko follow karte hain toh aapke hindi blog ke liye backlinks ki kami nahi rahegi. But ye bhi dhyaan rakhe ki apne content par jarur focus kare, kyonki aapka content jitna achha hoga aapko backlinks banane me utni hi aasani hogi.
Aapko ye post kaisi lagi jarur bataye or share karna naa bhule.
ये काफी ज्ञानवर्धक रहा, बैकलिंक्स के बारे विस्तृत जानकारी मिल गयी। पर एक बात जानना चाहता हूँ कि ये जो Automatic Backlinks बनाने वाली जो वेबसाइट होती है क्या उससे कोई फायदा होता है या फिर नुकसान
Isse aapko starting me fayda hoga lekin baad me bahut negative effect padhta hai isliye aap auto backlinks ka use naa kare
thanks sir, bahut hi achi jankari share ki hai. jarur kam mai lungi in tips ko.
Mujhe khushi hai aapko post pasand aayi
Sir main bhi image sharing ke dwara backlink banakar dekhta hoon. Iska result kaisa aayega.
Yogendra bhai har koshish ka result best hi aata hai Just Do It
Very nice information sir, guest post par mai bhi dhyan nhi deti thi, mere website ka traffic bhi down ho gya hai.
Sir maine sb kiya pr mere blog pe traffic bhut hi km aa rhi hai . kya kru help me
Ritu ji abhi aapka blog naya hai post update karte rahe traffic badhne lagega or apne homepage ko customize kro