Hosting Kya Hai Or Kitne Type Ki Hoti Hai
Web Hosting Kya Hai In Hindi
Friends aaj ham blogging karne ke liye bahut hi important terms web hosting ke baare me baat karenge. Web hosting kya hoti hai or iske kitne types hote hain or blog start karne ke liye konsi hosting lena chahiye? Is post me ham in sabhi sawalo ke jawab ke baare me padhenge.
Kisi bhi cheej ko samajhne ke liye uske baare me detail se jaanna jaruri hai, isliye pehle ham web hosting definition ke baare me padhe fir iske types ki baat karenge.
- WebHosting Kharidne Se Pehle Ye Points Jarur Yaad Rakhe
- WordPress Blogger Ke Liye Best WebHosting Plan
- Website Ko Mobile Ke Liye Optimized Kaise Kare
WebHosting Definition? Web Hosting Kya Hoti Hai
Kisi bhi document, images or data ko save karne ke liye ham mobile me folder ka use karte hain ye ham sabhi jaante hain. Same waise hi jab hame koi data internet par save karna hota hai toh ham cloud storage service ka use karte hain jaise ki Google Drive ya fir Digilocker.
Waise hi agar ham apni website banaye ya fir blog banaye toh uska data internet par online save karne ke liye ham jis space ka use karte hain wohi webhosting hai. Jise aap ek server bhi keh sakte hain jahan par aapki site store hoti hai.
Jab koi user aapke domain name ko browser me type karta hai toh hamara blog hosting se download hokar browser me show hota hai.
WebHosting Types In Hindi
Hosting samajhne ke baad ab hame ye dekhna hai ki ham apne blog ke liye konsi webhosting use kare jo hamare liye best ho. Lekin iske liye hame pehle ye jaana padhega ki hosting ke types kya hain, ye kitne tarha ki hoti hai tabhi toh ham apne liye best hosting select kar payenge.
Mainly web hosting 3 types ki hoti hai
- Shared Server Web Hosting
- Virtual Private Server Hosting (VPS)
- Dedicated Server Web Hosing
Ab ham in types ko detail me samajh lete hain jisse hame pata chal jayega ki hamare liye konsi hosting lena behtar rahega.
1. Shared WebHosting
Many times rent bachane ke liye ham kisi hotel me room share kar lete hain ya fir taxi me partner ke saath seat share kar lete hain jisse dono ka fayda ho jaata hai. Also Read New Blogger ke liye shared webhosting kyon best hai
Waise hi shared hosting me ham space ko other user ke saath share karte hain means ek hi hosting par many user ki sites store ho jaati hai jisse is hosting ki cost kam hoti hai. Or aasan words me kahu toh jaise hostel room me ek saath kai student rehte hain, waise hi hamari site is hosting par rehti hai.
Kya Mujhe Shared Server Web Hosting Use Karna Chahiye
Agar aap beginners hain or abhi sirf blogging ka experience karna chahte hain toh ye hosting aapke liye best rahegi kyonki isme aapko hosting charges kam lagenge. Waise isme aapko space or speed kam milegi lekin blog start karne ke liye ye hosting sabse best hai.
- New Blogspot Blog Ki Basic Setting Kaise Kare
- Godaddy Domain Blog Me Kaise Add Kare
- Blogger Blog Me Https Security Kaise Enable Kare
2. Virtual Private Server Hosting (VPS)
VPS hosting me server ko virtually many server me divide kiya jaata hai jisse aapki site shared server par hoti hai fir bhi other site aapki web space ka use nahi kar sakti hai jisse hame hosting par jyaada control milta hai. Yaani ki ek building ki tarha jisme kai Flat hote hain. Building ka main gate ek hi hota hai lekin Flat ke gate alag alag hote hain.
Isliye VPS hosting ka use karne se hame jyada security or privacy milti hai. Iski cost shared hosting se thodi jyada hoti hai.
Kya Mujhe VPS Hosting Use Karna Chahiye
Agar aap apne blog ko lekar serious hain toh ye hosting aapke liye best rahegi. Isme privacy, security ke saath aapko disk space bhi jyada milti hai.
3. Dedicated Web Server Hosting
Dedicated Web hosting me hame root access diya jaata hai jisse hosting par full control mil jaata hai jaise ki aap ek bungalow me reh rahe ho jiski jameen se lekar ceiling tak par aapka control hota hai.
Dedicated hosting server par security or privacy bahut jyaada hoti hai jisse hame apni site ya blog ko lekar koi hosting issue nahi hota hai. Jyada traffic wali websites ke liye ye hosting sabse best option hai.
Iska budget baaki dono hosting se bahut jyada hota hai kyonki ek bungalow ka maintenance Flat or Hostel se jyaada hota hai ye aap jaante hi hain.
Kya Mujhe Dedicated Web Server Hosting Use Karna Chahiye
Iska jawab bahut aasan hai ki agar aap professional blogger banna chahte hain toh aapko apni web hosting par full control hona jaruri hai. Starting se hi blog par invest karna chahte hain toh ye hosting aapke liye best rahegi.
Ye suggestion me aapko apne experience ke according de raha hun. Aap apni jarurat ke anusaar apne liye web hosting ka selection kar sakte hain.
- 10 Minute Me Hostgator Se Webhosting Kaise Kharide
- New Blogger Ke Liye Free Hosting Services
- Successful Blogger Banne Ke Liye Ye 6 Mistakes Kabhi Naa Kare
Aapko ye post kaisi lagi mujhe jarur bataye or apne blogging me interest rakhne wale friends ko bhi share jarur kare.