Smartphone Use Karne Ki 10 Interesting Tips
10 Interesting Tips For Use Smartphone
Smartphone toh ham use karte hi hain, lekin smartphone use karne me kuchh interesting facts bhi hote hain jo hame pata nahi hote hain. Isliye aaj me aapko 10 best majedaar tips bata raha hun jisse aap smart phone ko or interesting tarike se use kar sakte hain. Also Read Ghar baithe english kaise seekhe mobile ke jariye
SmartPhone Use Karne Ke Liye 10 Best Interesting Tips
Many times ham pdf file download karte hain, lekin next time jab bhi aap pdf file download kare toh ye dhyaan rakhe ki agar file ke last me .exe hai toh file download naa kare kyonki isme virus hone ke 99% chance hote hain. Also Read PC ya Laptop ke liye free antivirus kaise download kare
Agar aap smartphone ki battery jaldi charge karna chahte hain toh charge karte time phone ko offline mode ya plane mode par rakhe. Also Read Laptop ki battery life kaise badhaye
Smartphone par online shopping kar rahe hain toh online shopping site se related discount coupon code bhi Google par search kare. Is tricks se aap 50 to 60% tak bachat kar sakte hain.
- Mobile Se Paise Kaise Kamaye Best Tarike
- 7 Best Call Recording Apps Mobile Ke Liye’
- Kisi Bhi Mobile Number Ki Location Kaise Pata Kare
Online shopping karne se pehle jo product aap purchase karna chahte hain uski rating jarur check kare. 3+ rating products is very good for purchasing.
Facebook par kisi bhi account ko identified karne ke liye uski profile picture ko Google image me search kare aapko pata lag jayega ki account original hai ya fake hai. Also Read Fake Facebook account ki pehchaan kaise kare
Smartphone me save contacts ko gmail account me sync karke rakhe. By chance kabhi aapka mobile gum ho jaye toh aap kisi bhi mobile me contacts.google.com par login karke contacts recovery kar sakte hain.
- Android Mobile Me Screenshot Kaise Lete Hain
- Mobile Screen Recording Karke Paise Kaise Kamaye
- Android Mobile Ko Iphone Jaisa Look Kaise Banaye
Smart phone hang ho gaya hai toh charging par connect kare hang off ho jayega.
Mobile ko charging ke time kabhi bhi use naa kare isse pbone ki battery life kam ho jaati hai.
Agar aap chahte hain ki youtube video dekhte samay video history naa bane toh iske liye incognito mode ko on kare. Use karne ke baad incognito mode ko off kar dey. Also Read Youtube Video dekhkar paise kaise kamaye
Apne smart phone me dunia ke kisi bhi country ka FM radio sunne ke liye apne web browser me radio.garden type kare. Is site par aap live radio ka anand ley sakte hain.
Friends smartphone ki ye interesting tips aapko jarur pasand ayengi me ummid karta hun. Aisy or mazedaar tips padhne ke liye blog ko jarur subscribe kare or apne friends ko share bhi jarur kare.